koi mujh se juda hua hai abhi
zindagi ek saneha hai abhi
nahin mauqa ye pursish-e-gham ka
dekhiye dil dukha hua hai abhi
kal guzar jaa.e dil pe kya ma.alum
ishq saada sa vaqi.a hai abhi
baat pahunchi hai ik nazar men kahan
ham to samjhe the ibtida hai abhi
kitne nazdik aa ga.e hain vo
kis qadar un se fasla hai abhi
saari baten ye ḳhvab ki si hain
zindagi duur ki sada hai abhi
daar par khinchte hain ‘aḳhtar’ ko
jurm ye hai ki ji raha hai abhi
Leave a Reply