main janta huun kaun huun main aur kya huun main
duniya samajh rahi hai ki ik parsa huun main
ab mujh men aur tujh men koi fasla nahin
tu mera muddaa hai tira muddaa huun main
vaaiz jabin-e-shauq jhuke to kahan jhuke
naqsh-e-qadam hi un ke abhi dhundhta huun main
dil ko tajalliyat ka markaz bana liya
ab un ka naam lene ke qabil hua huun main
naseh tiri nigah men bada-parast huun
mai-kash samajh rahe hain bada parsa huun main
fursat mile kashakash-e-duniya se to kahun
kis vahm kis guman men uljha hua huun main
ahl-e-khirad ki aql pahunchti nahin jahan
‘vasfi’ junun men aisi jagah aa gaya huun main
Leave a Reply