koi makin bhi na tha us makan se lauTa huun
ḳhuda hi janta hai main kahan se lauTa huun
hayat guzri thi kirdar jis ke gaḌhne men
zalil ho ke usi dastan se lauTa huun
na koi naqsh nazar men na dhuul kapḌon pe
samajh men kuchh nahin aata kahan se lauTa huun
jahan pe aa ke mukammal hue vajud tamam
adhura ho ki akela vahan se lauTa huun
vo ḳhushbuen to mire taak men hi thiin raqsan
talash kar ki jinhen gulistan se lauTa huun
zamin valon zamin ki na dastan puchho
guzishta raat hi main asman se lauTa huun
jahan pe ‘fani’ ko faani banaya jaata hai
main ab ke baar usi astan se lauTa huun
Leave a Reply