ai dost mujhe soz-e-nihan maar na Daale
ye nala-e-shab ah-o-fughan maar na Daale
ik umr se paivast rag-e-jan hai magar ab
Darta huun ki ye tir-e-tapan maar na Daale
raa.ij hai zaban-bandi ka dastur chaman men
bulbul ko kahin zabt-e-fughan maar na Daale
ḳhurshid-e-qayamat se siva soz-e-darun hai
ai shaiḳh tujhe ishq-e-butan maar na Daale
tu ḳhvab hai ehsas hai naghma hai ki gul hai
ye kashmakash-e-vahm-o-guman maar na Daale
but-ḳhane men jaata hai baḌe shauq se lekin
zahid ko kahin husn-e-butan maar na Daale
betabi-e-dil ki ye dava ḳhuub hai lekin
pahlu men ye sharbat ki dukan maar na Daale
had se na guzar jaa.e tiri tarz-e-taghaful
furqat tiri ai jan-e-jahan maar na Daale
baiTha huun tire saya-e-gesu men magar ab
Darta huun ki ye rahat-e-jan maar na Daale
ab daulat-e-dil haar ke rota hai ‘muzaffar’
muflis ko ye ehsas-e-ziyan maar na Daale
Leave a Reply