dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah
mar gaya pyasa yahan har ḳhvab chiḌiya ki tarah
is ka apni hi ravani par nahin hai iḳhtiyar
zindagi shiv ki jataon men hai ganga ki tarah
har muqadma de raha hai jism par koḌe hazar
main adalat men rakha huun paak giita ki tarah
ya to koi chahne vaala yahan mera na ho
aur koi ho to ho radha ya miira ki tarah
zindagi meri ab us ki qabr men mahfuz hai
vo jo mere dil men rahta hai tamanna ki tarah
ek din mumkin hai main islam ka chehra banun
darmiyan logon ke huun filhal charcha ki tarah
daagh hain jan-o-jigar men dil bana hai aag se
‘mir’ huun par hain mire ash.ar ‘sauda’ ki tarah
Leave a Reply