• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Mujh Sa Mustahiqq-E-Rahm-O-Gham-Khwari Nahin

Koi Mujh Sa Mustahiqq-E-Rahm-O-Gham-Khwari Nahin

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

koi mujh sa mustahiqq-e-rahm-o-gham-khvari nahin

sau maraz hain aur ba-zahir koi bimari nahin

har qadam par bagh-e-alam men bichha hai dam-e-husn

kaun aisa hai jise zauq-e-giraftari nahin

dekhe gar ghaur se duniya hai ghaflat ka tilism

ye bhi khvab-e-ishq hai furqat se bedari nahin

jaan le kar bhi jo haath aae to arzan janiye

sahal aisi jins-e-ulfat ki kharidari nahin

ishq ki nakamiyon ne is qadar khincha hai tuul

mere gham-khvaron ko ab yara-e-gham-khvari nahin

mujh se zabt-e-dard-e-ulfat ki shikayat hai fuzul

ai dil-e-nadan tujhe ehsas-e-khud-dari nahin

meri daulat dekh kar kyuun tum ne thandi saans li

be-kason par rasm-e-ain-e-sitamgari nahin

har taraf se ye sada aati hai mulk-e-husn men

ye vo duniya hai jahan rasm-e-vafadari nahin

ho gaya shayad ki sarf-e-soz-e-gham sab khun-e-dil

ansuon ka ab vo dariya aankh se jaari nahin

us ko rahm aae kahan ye na-umidi men umiid

dil ko khush karna hai shaghl-e-girya-o-zari nahin

ham hain chup baithe hue lekin hai dil masruf-e-ishq

is adim-ul-fursati ka naam bekari nahin

band aankhon se nazar aati hai har shai dahr ki

alam-e-ruya men farq-e-khvab-o-bedari nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hayat Raqs Mein Hai Kaenat Raqs Mein Hai

Haqiqaton Ke Mumasil Majaz Karta Nahin

Ye Khel Bhul-Bhulayyan Mein Humne Khela Bhi

poet

Kabhi To Sochna Tum Un Udas Aankhon Ka

Sitam Ki Tegh Ye Kahti Hai Sar Na Uncha Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet