• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Meayar-E-Mohabbat Na Raha Mere Baad

Koi Meayar-E-Mohabbat Na Raha Mere Baad

koi me.ayar-e-mohabbat na raha mere ba.ad

har taraf aam hain ḳhasan-e-vafa mere ba.ad

silsila un ke sitam ka na raha mere ba.ad

badla badla sa hai dastur-e-jafa mere ba.ad

kaun pahnega gale men tiri ulfat ki kamand

kis ke sar hogi tiri zulf-e-dota mere ba.ad

hongi qurban tire ruḳh pe nigahen kis ki

chand ho ja.ega haale se juda mere ba.ad

sochta huun ki ba-in alam-e-betabi-e-dil

kaun mangega mohabbat ki dua mere ba.ad

daad chahenge miri tarah miTa kar kis ko

ishva-o-ghamza-e-andaz-o-ada mere ba.ad

Thokaren khati phiregi shab-e-yalda-e-firaq

ḳhuun ro.egi har ik taaza bala mere ba.ad

suuni suuni si hai har mahfil-e-iza-e-talabi

jaise duniya men koi gham na raha mere ba.ad

ḳhira ho jaati thi jis se nigah-e-sabr-o-qarar

un ke lab par vo tabassum na raha mere ba.ad

kya ḳhabar thi ki main ḳhud saath na dunga apna

gosht ho ja.ega naḳhun se juda mere ba.ad

fitrat-e-husn ko hai aise sitam-kash ki talash

jo vafa par bhi kare uzr-e-ḳhata mere ba.ad

zard kar dega use meri tabahi ka ḳhayal

rang laaya bhi agar rang-e-hina mere ba.ad

un ka divana to kahlana hai mushkil ‘basit’

koi divana agar ban bhi gaya mere ba.ad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdullah-javed

Har Lamha Marg-O-Zist Mein Paikar dekhna

Mai-E-Be-Rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona

poet

chhoTi Hi Sahi Baat Ki Tasir to Dekho

Silsila KHatm Hua Jalne Jalane Wala

parveen-shakir

Khwab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet