koi kya jaane us ke husn ki duniya kahan tak hai
vahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
taḌapta huun kisi ki yaad men aur ye samajhta huun
ye bechaini mohabbat ki faqat umr-e-ravan tak hai
ḳhalish baḌhti chali jaati hai har lahza nigahon ki
ḳhuda jaane hamare shauq ka aalam kahan tak hai
lagi hai aag siine men magar ye soch kar chup huun
bharam ahl-e-mohabbat ka faqat zabt-e-fughan tak hai
kahin aisa na ho us ko hava-e-gham bujha Daale
tumhare ruḳh ki tabani mire soz-e-nihan tak hai
na ghabra.en chaman vaale naved-e-amn deta huun
rasa.i bijliyon ki sirf mere ashiyan tak hai
vafa ki manzilon se be-niyazana guzar ‘shariq’
tabi.at ki pareshani gham-e-sud-o-ziyan tak hai
Leave a Reply