tumhare shahr men dekhun to kya nahin milta
bas apne ghar ke liye rasta nahin milta
uruuj par hai na.e mausamon ka jah-o-jalal
shajar pe koi bhi patta hara nahin milta
abhi abhi koi andhi idhar se guzri hai
rah-e-hayat mujhe naqsh-e-pa nahin milta
bichhaḌ ke tujh se tabi.at uchaT rahti hai
ḳhud apne ghar men bhi ghar ka maza nahin milta
tumhen bhi roz kahani vahi sunani hai
mujhe bhi ḳhvab koi dusra nahin milta
mata-e-barg-o-samar bhi luTa chuke ashjar
kisi tarah bhi mizaj-e-hava nahin milta
main kis tarah se ‘zafar’ mas.alon ko suljha.un
kisi bhi baat ka koi sira nahin milta
Leave a Reply