koi din zabt-e-ulfat ka natija dekh lete hain
agar chaho to ham ye bhi tamasha dekh lete hain
hamen dariya men qatre ka nazar aana bhi mushkil hai
magar ahl-e-nazar qatre men dariya dekh lete hain
navazish hai ki gahe-gahe aa jaate ho milne ko
koi din zindagi men ham bhi achchha dekh lete hain
kabhi qatre men dariya ko kabhi zarre men sahra ko
ye zalim dekhne vaale bhi kya kya dekh lete hain
pashemani to hoti hai hamen inkar karne se
magar saaqi ka andaz-e-taqaza dekh lete hain
asar dil par nahin hota misal-e-a.ina lekin
hamen jo kuchh dikhata hai zamana dekh lete hain
vaqar-e-zindagi men kuchh izafa ho hi jaata hai
kabhi jab ham tumhara ru-e-zeba dekh lete hain
ḳhalish dil se kabhi zauq-e-junun ki miT nahin sakti
ham ab bhi ghar se uTh kar su-e-sahra dekh lete hain
baḌi raunaq hai ishq-o-husn ki mahfil men ai ‘sahir’
magar ham duur hi rah kar nazara dekh lete hain
Leave a Reply