• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi dhun Ho Main Tere Git Hi Gae Jaun

Koi dhun Ho Main Tere Git Hi Gae Jaun

obaidullah-aleem

koi dhun ho main tire giit hi gaae jaun

dard siine men uthe shor machae jaun

khvab ban kar tu barasta rahe shabnam shabnam

aur bas main isi mausam men nahae jaun

tere hi rang utarte chale jaaen mujh men

khud ko likkhun tiri tasvir banae jaun

jis ko milna nahin phir us se mohabbat kaisi

sochta jaun magar dil men basae jaun

ab tu us ki hui jis pe mujhe pyaar aata hai

zindagi aa tujhe siine se lagae jaun

yahi chehre mire hone ki gavahi denge

har nae harf men jaan apni samae jaun

jaan to chiiz hai kya rishta-e-jan se aage

koi avaz diye jaae main aae jaun

shayad is raah pe kuchh aur bhi raahi aaen

dhuup men chalta rahun saae bichhae jaun

ahl-e-dil honge to samjhenge sukhan ko mere

bazm men aa hi gaya huun to sunae jaun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sar Pe Ek Saeban to Rahne De

Na-Karda Gunahon Ki Saza Aur Hi Kuchh Hai

bazm-e-jaan phir nigah-e-tauba-shikan mange hai

Ek Tamanna Hai KHamoshi Ke kaTahre Kitne

Chahta Hun Ki Tera Hijr Musibat Na Lage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet