fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun
zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun
qissa-e-sazish-e-aghyar kahun ya na kahun
shikva-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun
jaane kya vaza hai ab rasm-e-vafa ki ai dil
vaz-e-derina pe israr karun ya na karun
jaane kis rang men tafsir karen ahl-e-havas
madh-e-zulf-o-lab-o-rukhsar karun ya na karun
yuun bahar aai hai imsal ki gulshan men saba
puchhti hai guzar is baar karun ya na karun
goya is soch men hai dil men lahu bhar ke gulab
daman o jeb ko gulnar karun ya na karun
hai faqat murgh-e-ghazal-khvan ki jise fikr nahin
moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun
Leave a Reply