• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Wahm Ki Intiha Nahin Hai

Is Wahm Ki Intiha Nahin Hai

is vahm ki intiha nahin hai

sab kuchh hai magar ḳhuda nahin hai

kya is ka suragh koi paa.e

jis chiiz ki ibtida nahin hai

khulta hi nahin fareb-e-hasti

kuchh bhi nahin aur kya nahin hai

is tarah sitam vo kar rahe hain

jaise mera ḳhuda nahin hai

tum ḳhush ho to hai mujhe nadamat

har-chand miri ḳhata nahin hai

dekho to nigah-e-vapsin ko

is ek nazar men kya nahin hai

duniya ka bharam na khol ai aah

ye raaz abhi khula nahin hai

har zarra hai shahid-e-tajalli

is husn ki intiha nahin hai

sargarm-e-talash rahne vaale

tera bhi kahin pata nahin hai

umDa hai jo dil ‘aziz’ ro lo

aansu koi rokta nahin hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

allama-iqbal

Nahin Maqam Ki Khugar Tabiat-E-Azad

sauda-mohammad-rafi

daman Saba Na Chhu Sake Jis Shah-Sawar Ka

aal-e-ahmad-suroor

Jis Ne Kiye Hain Phul Nichhawar Kabhi Kabhi

poet

Na Jaane Kaun Sa Manzar Sadaen Deta Hai

Sarab-E-Sahra Mein Pani Talash Karta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet