vo kisi galileo ka intizar nahin kar rahe hain
ek badi ghadi tayyar karne ke liye
jise shahr ki ek yadgari divar men nasab kiya ja sake
is khala men
hamari tarikh ki akkasi ke alava
khvatin ke alami din par
jhula daala ja sakta hai
chini taifa
baans se uchhal kar us men se guzar sakta hai
us men
ek laash ko mukhtasar kar ke latkaya ja sakta hai
ise mohan jodaro ki inton se
chuna ja sakta hai
Leave a Reply