lab-e-khamosh men pinhan hai koi raaz nahin
zindagi saaz hai jis men koi avaz nahin
kyuun na aghosh-e-takhaiyul men main udta hi rahun
dar-haqiqat hai mujhe khvahish-e-parvaz nahin
mere kirdar men hai neki badi par bhari
kyuun vo kar paae badi ko nazar-andaz nahin
ye taalluq jo kiya qata hua qissa tamam
ye nai dastan ka nuqta-e-aghaz nahin
ru-ba-ru aaine ke jaun to dikhta hai mujhe
ajnabi shakhs jo ham-shakl-o-ham-avaz nahin
huun to hargiz nahin paband-e-qavaed ‘naqid’
apni avargi pe mujh ko magar naaz nahin
Leave a Reply