ik raat bakht suun main rindan ka saat paaya
irfan ke mulk-e-din par haq suun barat paaya
man-arafa-nafsahu ka anjan laga ko dekha
har chiiz zat-e-haq bin main be-sabat paaya
yu nafs-e-dun hava suun pakde liya tha meri
murshid ki kafash uthain us suun najat paaya
yu qaul o feal mera mujh ikhtiyar suun niin
hat panj maat ki main aapas ki zaat paaya
taslim kar apas kuun us ki raza ke uupar
mahbub ka apas par nit iltifat paaya
ja but-kade men dekha chashm-e-yagangi suun
haq bin nahin disya gar uzza-o-lat paaya
ism-o-sifat ka jalva ism-o-sifat men dekha
har zaat kuun khuda ki main ain-e-zat paaya
qatra hai ain-e-dariya dariya hai ain-e-qatra
bhi donon ghair hi hain nadir yu baat paaya
har shai hai ain-e-har-shai bhi shai hai ghair-e-har-shai
murshid ke lutf suun main kya khuub baat paaya
mahtab-e-ilm sulga gul-rez maarifat ke
kar jahal ko havai khush shabbarat paaya
ruun ruun zaban karun to us ki sana na sar si
‘qurbi’ karam suun haq ki kya khush-nikat paaya
Leave a Reply