sab yaqin bech kar sab guman bech kar
main tavangar huun sud-o-ziyan bech kar
jhaḌ ga.e meri shaḳhon se barg-o-samar
phir baharen ḳharidin ḳhizan bech kar
ik naya ashiyana bana.unga main
bar-lab-e-maikada ik makan bech kar
sab bikega yahan bekasi ke siva
main abhi aa raha huun zaban bech kar
apne bachchon ki rozi kamata raha
vo adalat men apna bayan bech kar
mujh kasafat-zada ne gulistan men
ik naya ghar liya titliyan bech kar
muflisi ruuh ki ab bhi pahle si hai
kya kamaya dil-e-naghma-ḳhvan bech kar
‘abdi’ chup raha maslahat ke sabab
kaun ḳhush hai yahan astan bech kar
Leave a Reply