koi zaari suni nahin jaati koi jurm muaaf nahin hota
is dharti par is chhat ke tale koi tere ḳhilaf nahin hota
kabhi damken sone ke zarre kabhi jhalke murghabi ka lahu
ka.i pyase kab se khaḌe hain magar paani shaffaf nahin hota
koi zulf aḌe to bikhar jaana koi lab dahken to ThiThur jaana
kya tazkiya karte ho dil ka ye a.ina saaf nahin hota
ka.i mausam mujh par guzar ga.e ehram ke in do kapḌon men
kabhi patthar chuum nahin sakta kabhi izn-e-tavaf nahin hota
yahan taaj us ke sar par hoga jo taḌke shahr men daḳhil ho
yahan saaya huma ka nahin paḌta yahan koh-qaf nahin hota
Leave a Reply