koi dariya bhi ravan hai mujh men
sirf sahra hi kahan hai mujh men
kya pata jaane kahan aag lagi
har taraf sirf dhuan hai mujh men
jashn hota hai vahan raat Dhale
vo jo ik ḳhali makan hai mujh men
ajnabi ho ga.iin galiyan meri
jaane ab kaun kahan hai mujh men
ek din tha jo kahin Duub gaya
ek shab hai ki javan hai mujh men
tum jise DhunD rahe ho ‘at.har’
ab vo insan kahan hai mujh men
Leave a Reply