• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana

Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana

ahsan-marahravi

chahiye ishq men is tarah fana ho jaana

jis tarah aankh uThe mahv-e-ada ho jaana

kisi mashuq ka ashiq se ḳhafa ho jaana

ruuh ka jism se goya hai juda ho jaana

maut hi aap ke bimar ki qismat men na thi

varna kab zahr ka mumkin tha dava ho jaana

apne pahlu men tujhe dekh ke hairat hai mujhe

ḳharq-e-adat hai tira vaada vafa ho jaana

vaq.at-e-ishq kahan jab ye talavvun ho vahan

kabhi raazi kabhi ashiq se ḳhafa ho jaana

jab mulaqat hui tum se to takrar hui

aise milne se to behtar hai juda ho jaana

chheḌ kuchh ho ki na ho baat hui ho ki na ho

baiThe baiThe unhen aata hai ḳhafa ho jaana

mujh se phir jaae jo duniya to bala se phir jaae

tu na ai aah zamane ki hava ho jaana

‘ahsan’ achchha hai rahe mal-e-arab pesh-e-arab

de ke dil tum na giraftar-e-bala ho jaana

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Masruf Hum Bhi Anjuman-Araiyon Mein The

aazim-kohli

Subu Utha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai

Tamam Raat paDi Thi Ki Din Nikal Aaya

faiz-ahmad-faiz

Na Aaj Lutf Kar Itna Ki Kal Guzar Na Sake

Ek Laghzish Mein Dar-E-Pir-E-Mughan Tak Pahunche

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet