• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Ko Zara Qarar Tha Wo Bhi Nahin Raha

dil Ko Zara Qarar Tha Wo Bhi Nahin Raha

najma-shaheen-khosa

dil ko zara qarar tha vo bhi nahin raha

ankhon ko intizar tha vo bhi nahin raha

vo saath tha to saath men meri bhi zaat thi

mera kahin shumar thaa, vo bhi nahin raha

us se hue juda to phir khud ko bhi kho diya

khud par jo e’tibar tha vo bhi nahin raha

daman men koi chand, sitara na aftab

jugnu par inhisar tha vo bhi nahin raha

jheli thiin jis ke sang hi ye ranjishen kabhi

ik dal hi gham-gusar tha vo bhi nahin raha

uljha tha mere dil men jo muddat se ik saval

lab par jo baar baar tha vo bhi nahin raha

jis par charagh rose jalati thi raat ko

dil men jo ik mazar tha vo bhi nahin raha

muddat se us ki raah men dil tha bichha hua

sochon men vasl-e-yar tha vo bhi nahin raha

taqdir ki asiir huun jis ke liye ye dil

muddat se ashk-bar tha vo bhi nahin raha

maabud mere mera muqaddar tu dekh le

khud par jo ikhtiyar tha vo bhi nahin raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Khela Bachpan Jhuma laDakpan Lahki Jawani Chaubaron Mein

poet

Jo Raha Yun Hi Salamat Mera Jazb-E-Walihana

Gham-E-Dil Ko Zamane Se Chhupana Bhi Nahin Aata

ahmad-faraz

Ai Mere Sare Logo

Kisi Naghme Mein Hai Wo Aur Na Kisi Saz Mein Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet