dil ko ba-nam-e-ishq sajana pada hamen
phir ik fareb dil men basana pada hamen
ye kis ka haal kis ko sunana pada hamen
aur dil ka haal dil se chhupana pada hamen
jal kar bhi tere naam ki khushbu bikher de
phulon men aisi aag lagana pada hamen
daman ye khaar se nahin phulon se taar hai
jaane ye kaisa qarz chukana pada hamen
jab se khushi salib-e-mohabbat pe chadh gai
hansna bhi ab udhar men laana pada hamen
khulte hain roz kya ye mohabbat ke mai-kade
ye aazma ke dekhne jaana pada hamen
ik aarzu ke vaste kya kya nahin kiya
‘ahmad’ ‘nisar’ dil ko jalana pada hamen
Leave a Reply