uTha.in hijr ki shab dil ne afaten kya kya
umid-e-vasl men jhelin musibaten kya kya
vahi hai jaam vahi mai vahi subu lekin
badal ga.i hain zamane ki niyyaten kya kya
dabi zaban se karte hain ghair dar-parda
tumhare munh pe tumhari shikayaten kya kya
sitam men lutf, jafa men ada nigah men naaz
itaab men bhi hain pinhan inayaten kya kya
karun main un ki shikayat ‘aziz’ jhuuT ghalat
gaḌhi hain dil se raqibon ne tohmaten kya kya
Leave a Reply