Dur Tak Phail Gai Sab Kei Zaban Tak Pahunchi

duur tak phail ga.ī sab keī zabāñ tak pahuñchī

baat tab jā ke mire vahm-o-gumāñ tak pahuñchī

pyaas ne mujh ko to bas maar hī Daalā thā magar

kashish-e-zīst mirī āb-e-ravāñ tak pahuñchī

ḳhaak jab ḳhaak se Takrā.ī to ik shor uThā

jaan jab jaan se guzrī to amaañ tak pahuñchī

dhaḌkano meñ tirī aamad se vo jhankār huī

lab khule bhī nahīñ aur baat bayāñ tak pahuñchī

merī āñkhoñ se mire ḳhvāb churāne vaalā

pūchhtā hai ki mirī niiñd kahāñ tak pahuñchī

koī to shai thī ‘alīnā’ jo in āñkhoñ se chalī

dil meñ paivast huī aur rag-e-jāñ tak pahuñchī

Leave a Comment