Kitni Gahri Ye Shanasai Lage

kitnī gahrī ye shanāsā.ī lage

jhūTh vo bole to sachchā.ī lage

itnā pāgal huuñ maiñ un ke ishq meñ

bhiiḌ meñ bhī mujh ko tanhā.ī lage

tum nahīñ ho saath jab mere sanam

shuul jaisī mujh ko purvā.ī lage

bāġhbāñ terī badaulat hī yahāñ

har kalī gulshan kī murjhā.ī lage

chāhtā huuñ is qadar tujh ko ki ab

har burā.ī terī achchhā.ī lage

sab yahī kahte mile ‘santosh’ ab

jaan kī dushman ye mahñgā.ī lage

Leave a Comment