kitna roka magar ruka hi nahin
aur muḌ kar to dekhta hi nahin
teri chaukhaT ka bhari darvaza
dastaken de ke bhi khula hi nahin
mujh men itna bikhar gaya hai vo
laakh chahun simaT raha hi nahin
sahiba dost maan rakkha tha
aur tu dukh men bolta hi nahin
hijr ne ḳhud bhi ye gavahi di
vapsi ka to rasta hi nahin
kunj-e-tanha.i men asir-e-ishq
ḳhud se bahar kabhi gaya hi nahin
ek muddat se ashna hain magar
aa.ine se mukalima hi nahin
kis mohabbat ki baat karte ho
jis mohabbat men dil jala hi nahin
kis ko itna maqam dete ham
itna achchha koi laga hi nahin
kuchh to hota ki zindagi karte
is ta.alluq ka kuchh sila hi nahin
saari duniya shumar baiThi huun
ya.ani ginti men ‘rabiya’ hi nahin
Leave a Reply