kitna ba-zarf hai vo mere barabar vaala
ḳhushk ankhon ko diya gham to samundar vaala
baghbani men tamam umr ganva di lekin
phuul ab tak na khila apne muqaddar vaala
ḳhvab ki vahshaten qaa.em rahin shab bhar mujh par
dar pe deta hi raha dastaken bahar vaala
hijr aaseb hai aaseb bhi aisa sahab
hausla haar gaya main bhi sikandar vaala
ham manaenge naya saal tiri yaad ke saath
zaḳhm is baar hara hoga december vaala
qahqahon se to zamana hua mahrum hain lab
aur fasane men mira rol hai joker vaala
toḌe ja.enge sitam tere tujhi par ‘afaq’
ik tamasha to abhi aur hai mahshar vaala
Leave a Reply