• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dekhte Kya Did Ke Qabil Koi Manzar Na Tha

Dekhte Kya Did Ke Qabil Koi Manzar Na Tha

dekhte kya diid ke qabil koi manzar na tha

paanv dharti par na the aur asman sar par na tha

ḳhud hamin ko ḳhud-kushi ka shauq tha charagaro

doston ki astinon men koi ḳhanjar na tha

har paḌav ek shab ke vaste manzil bana

jis ki ḳhatir dar-ba-dar bhaTke hamara ghar na tha

qarz miTTi ka tha miTTi ke havale kar diya

vo jo ham ne dasht ko saunpa hamara sar na tha

barf mausam andhiyan shaḳh-o-shajar kuchh bhi na the

uḌne valon ko magar andoh-e-bal-o-par na tha

gumbad-e-koh-e-nida se bach nikalna tha muhal

raste charon taraf the aur koi dar na tha

main hi sha.ista na Thahra sangsari ka ki aaj

sab uThe hathon men parcham the koi patthar na tha

ham ne nazron se chhua palkon se chuma hai use

log kahte the ki ḳhushbu ka koi paikar na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hafiz Shirazi

Ba-Rau Ba-Kar-e-Khud Ai Waiz In Che Fariyaad Ast

Ulfat-E-Ariz-E-Laila Mein Pareshan Nikla

zafar-iqbal

dekho To Kuchh Ziyan Nahin Khone Ke Bawajud

poet

Tum Bhi Ho KHanjar-E-KHushab Bhi Hai

KHwahish-E-Wasl to Be-Kar Nahin Kar Sakta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet