dil mera tera taba-e-farman hai kya karun
ab tera kufr hi mira iman hai kya karun
ba-hosh huun magar mira daman hai chaak chaak
aalam ye dekh dekh ke hairan hai kya karun
har tarah ka sukun hai har tarah ka hai kaif
phir bhi ye mera qalb pareshan hai kya karun
kahta nahin huun aur zamana hai ba-ḳhabar
chehre se dil ka haal numayan hai kya karun
daman karun na chaak ye mumkin to hai magar
muztar har ek tar-e-gareban hai kya karun
saada sa ik varaq huun kitab-e-hayat ka
hasrat se ab na ab koi arman hai kya karun
har samt pa raha huun vahi rang-e-dil-fareb
hathon men kufr ke mira iman hai kya karun
daghon ka qalb-e-zar se mumkin to hai ilaaj
un ke hi dam se dil men charaghan hai kya karun
ik be-vafa ke vaste se sab kuchh luTa diya
‘bahzad’ ab na diin na iman hai kya karun
Leave a Reply