shahidon ka tire shohra zamin se asman tak hai
falak se balki aage baḌh ke tere astan tak hai
jamal-e-jan-fiza ka un ke dilkash dil-ruba jalva
zamin se asman tak hai makan se la-makan tak hai
rahen sab mutma.in gulshan men apne ashiyanon se
ki jaulan-gah bijli ki hamare ashiyan tak hai
nasihat par amal ḳhud bhi to karna chahiye vaa.iz
asar kya ho ki tera va.az to nok-e-zaban tak hai
musalmani faqat tasbih-ḳhvani hi nahin hamdam
musalmani ka lamba haath shamshir-o-sinan tak hai
buḌhapa fikr par aa.e to nakbat saath aati hai
taraqqi aur azmat qaum ki fikr-e-javan tak hai
faqat duniya hi us ki guunj ka halqa nahin hargiz
tiri hamd-o-sana ki guunj gulzar-e-jinan tak hai
main huun paigham-e-haq islam mera nam-e-nami hai
jahan tak hai ye duniya mera halqa bhi vahan tak hai
vahi alfaz hain mauzun agar hon sher hote men
haqiqat sha.iri ke fan ki bas husn-e-bayan tak hai
tavil itni hai zanjir-e-asiri is zamane men
ki hazir qaid-ḳhane men ‘uruj’-e-na-tavan tak hai
Leave a Reply