kitab-e-mohabbat hai ḳhvahish gazida
varaq zindagi ke darida darida
miri dastan lafz lafz atishin hai
fasana fasana tapida tapida
yahan lamha lamha baḌa sang-dil hai
ruten rahaton ki kashida kashida
kahin chehra chehra hai tasvir-e-hairat
kahin shahr hai naqsh naqsh abdida
makan hain ki jangal ke saa.e sarasar
makin hain ki aahu ramida ramida
ye kya alamiya hai ki Iqlim-e-fan men
girohon ki chhab hai jarida jarida
tira ruup meri ghazal se amar hai
ki taḳhliq hoti nahin sin-rasida
yahi ek ḳhubi yahi ek ḳhami
na main ne kaha shan-e-shah men qasida
yaqinan hava hi men nashtar hain ‘shahid’
ki har shaḳh-e-gulshan hui ḳhun-chakida
Leave a Reply