• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Surat To dil Ko Shad Karna

Kisi Surat To dil Ko Shad Karna

poet

kisi surat to dil ko shaad karna

hamen dushman samajh kar yaad karna

duaen denge chhut kar qaidi-e-zulf

jahan tak ho sake azad karna

kahin vo afrin aisa pade haath

na mujh par rahm o jallad karna

masihai dikhana baad-e-murdan

jo dil chahe to kuchh irshad karna

uda do khaak meri thokaron se

agar manzur hai barbad karna

adab sikhe nahin huun nau-giraftar

bata kar qaede bedad karna

maza tha bebasi ki galiyon men

isi bhule sabaq ko yaad karna

bahut mushkil hai in sangin-dilon se

khayal-e-khatir-e-nashad karna

janaza uth chuke mera to tum bhi

ada rasm-e-mubarak-bad karna

‘nasim’-e-khasta-dil ne jaan de di

ghazab laaya tira bedad karna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Harim-E-Dil Se Rah-E-Chashm-E-Tar Se Guzre Hain

bushra-saeed

Mazdur

Koi Surat Kitab Se Nikle

Dekha Nahin Dekhe Hue Manzar Ke Siwa Kuchh

Umr Bhar Kawish-E-Izhaar Ne Sone Na Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet