jis raah men pech-o-ḳham nahin hai
us raah pe kyon haram nahin hai
chalna hai ham ko chal rahe hain
manzil kya har qadam nahin hai
sajda vo hai ba-rabb-e-ka.aba
jis ko qaid-e-haram nahin hai
saari ḳhilqat hai sar jhuka.e
ek is gardan men ḳham nahin hai
jannat kya hai havas ka dhoka
kya hogi ḳhushi ki gham nahin hai
sajda hai karishma-e-tasavvur
mat kah ki ḳhuda sanam nahin hai
Leave a Reply