ashna jo maza ka hota hai
apne haq men vo kanTe bota hai
shaiḳh-ji ek roz mujh ko ‘asar’
lage kahne abas tu rota hai
in buton ke liye ḳhuda na kare
din-o-dil yuun koi bhi khota hai
na tujhe din ko chain hai ik aan
ek dam raat ko na sota hai
main kaha ḳhuub sun ke ai nadan
ja mashiḳhat ko kyuun Dubota hai
tu hai mullan tiri bala jaane
ashiqi men jo kuchh ki hota hai
Leave a Reply