Bhula Diya Hai Jo Tu Ne to Kuchh Malal Nahin

bhulā diyā hai jo tū ne to kuchh malāl nahīñ

ka.ī dinoñ se mujhe bhī tirā ḳhayāl nahīñ

abhī abhī to sitāre zamīñ pe utre haiñ

abhī se bazm se apnī mujhe nikāl nahīñ

hai dard tū hī davā tū hakīm tū hī marīz

tirā kamāl yahī hai tirī misāl nahīñ

faqat yaqīn pe chaltā hai zindagī kā safar

vagarna kaun hai jo Dho rahā savāl nahīñ

ḳhamoshiyoñ kī use kyuuñ na intihā kah duuñ

zabāñ ḳhamosh haiñ āñkhoñ meñ bhī savāl nahīñ

Leave a Comment