kisi ko raj-dulare fareb dete rahe
kisi ko jaan se pyare fareb dete rahe
yaqin milta raha thartharate honTon se
magar nazar ke ishare fareb dete rahe
tamam raat men chalta raha huun kanTon par
tamam raat sitare fareb dete rahe
kanval khila tha mohabbat ka jis ke paani par
vo jhiil us ke kinare fareb dete rahe
sarab banta gaya pal men har hasin manzar
mujhe to saare nazare fareb dete rahe
vafa na karta agar ik hasin to baat bhi thi
‘asad’ ko saare ke saare fareb dete rahe
Leave a Reply