har aankh men masti hai kahiye bhi to kya kahiye
aur aap ki basti hai kahiye bhi to kya kahiye
har shai se kinara bhi aur anjuman-ara bhi
kya aap ki hasti hai kahiye bhi to kya kahiye
but-ḳhane men din kaaTa maiḳhane men shab guzri
nasha hai na masti hai kahiye bhi to kya kahiye
ye daur sanam-parvar har shaḳhs yahan aazar
sahra hai na basti hai kahiye bhi to kya kahiye
vo mahfil-e-rindan ho ya bazm-e-suḳhan-dan ho
ahbab-parasti hai kahiye bhi to kya kahiye
zahid ki subuk-fitrat rindon pe hamesha se
avaz hi kasti kahiye bhi to kya kahiye
ahbab ki ankhon men jo uns ki nagin hai
ahbab ko Dasti hai kahiye bhi to kya kahiye
ik jins-e-kudurat thi jo pahle hi sasti thi
ab aur bhi sasti hai kahiye bhi to kya kahiye
duniya se ‘aziz’ us ko hoti hai mohabbat bhi
duniya jise Dasti hai kahiye bhi to kya kahiye
Leave a Reply