kisi ki ziist ka bas ek baab sannata
kisi ke vaste puura nisab sannata
hai us ko lafz se matlab mujhe maani se
hai us ka shor mira intikhab sannata
darun-e-khana ki viraniyan kuchh aisi thiin
barun-e-khana hua aab aab sannata
mujhe pata hai kahani ka ikhtitam hai kya
tavil baat ka lubb-e-lubab sannata
miri khamoshi pe ungli uthata rahta hai
khud apna karta nahin ehtisab sannata
buland hoti sada ko daba ke khush mat ho
zarur laega ik inqalab sannata
shab-e-firaq tiri yaad meri tanhai
udaas udaas faza mahtab sannata
abhi ‘kamal’ yahan qahqahe uchhalte hain
kahin na kar de unhen ek khvab sannata
Leave a Reply