dhundla diya ziist ka tasavvur
apni ankhon hi ki nami ne
haivan-sifat hua hai aḳhir
dikhlaya kamal aadmi ne
ki dosti bhi to dushmani se
jaana na unhen magar hamin ne
gaḌhe ki to khaal khinch Daali
raat un ke jamal-e-reshmin ne
sho.alon se bujha.i pyaas ji ki
yaron ke mizaj-e-balghamin ne
ye zohra ye mushtari ye mahtab
kya kya na milin na.i zaminen
miT kar bhi ghubar-e-kahkashan hain
chamka diya kis ki hamdami ne
jo gul sar-e-arsh bhi na khilte
vo gul bhi khila diye zamin ne
shayad ki talab kiya ‘nazar’ ko
ka.abe men rasul-e-hashmi ne
Leave a Reply