
Navin Joshi
ho ga.i avaz sasti aur mahnga shor hai
baat baiThi hai sikuḌ kar aur phaila shor hai
ye tira hai ye mira hai aur vo us ka shor hai
TukḌe TukḌe duniya ne TukḌon men banTa shor hai
laal ho niila ho narangi ho ya phir ho hara
rang alag ḳhud-gharzi ke par sab ka ik sa shor hai
ye siyasat ki dukanon men musalsal bikta hai
maz.habon ka ḳhatm ho to sarhadon ka shor hai
ab vo mimbar hai hamara jo tumhara tha kabhi
tab tumhara shor tha to ab hamara shor hai
shor se bahar ke ukta ke ham andar aa ga.e
par hamen kya thi ḳhabar andar ziyada shor hai
chiḳh ke chilla ke ro ro ke ye chup ho jaata hai
jis ki koi na sune ik aisa bachcha shor hai

Leave a Reply