kisi ki jiit ka sadma kisi ki maat ka bojh
kahan tak aur uTha.en ta.alluqat ka bojh
ana ka bojh bhi aaya usi ke hisse men
bahut hai jis ke uThane ko apni zaat ka bojh
jhaTak diya hai kabhi sar se bar-e-hasti bhi
uTha liya hai kabhi sar pe ka.enat ka bojh
abhi se aaj ke din ka hisab kya ma.ani
abhi to zehn pe baaqi hai kal ki raat ka bojh
yahi na ho main kisi din kuchal ke rah ja.un
ubharta hai bahut zaat ko sifat ka bojh
paḌa tha saaya bas ik baar dast-e-shafqat ka
so ab ye sar hai mira aur kisi ke haath ka bojh
abhi do chaar na kar hijr ki aziyyat se
abhi to main ne uThaya hai tere saath ka bojh
Leave a Reply