hai shikayat dil ko aisa kyon nahin
jab tu mera hai to lagta kyon nahin
jab nazar se mil nahin paati nazar
ḳhvab se bahar nikalta kyon nahin
lag rahi hai kyon thami duniya mujhe
tu bhi mausam sa badalta kyon nahin
hai zaban chup aur dhaḌkan tez hai
tu isharon ko samajhta kyon nahin
jism ThanDa paḌ gaya ‘santosh’ ka
aag apni us ko deta kyon nahin
Leave a Reply