kisi ke sub.h kei muskan hona
andhere ghar men raushan-dan hona
kahun main kya tumhen is se ziyada
mire bachcho miri pahchan hona
safar asan mera kar gaya hai
tumhara saath is dauran hona
havadis bhi sikha jaate hain aksar
bura hota nahin nuqsan hona
baḌi mushkil se haath aata hai ye fan
kahan asan hai asan hona
hamari aḳhiri ḳhvahish yahi hai
tumhari nazm ka unvan hona
Leave a Reply