kisi ke saath ab saaya nahin hai
koi bhi aadmi puura nahin hai
mire andar jo andesha nahin hai
to kya mera koi apna nahin hai
koi patta kahin parda nahin hai
to kya ab dasht men dariya nahin hai
to kya ab kuchh bhi dar-parda nahin hai
ye jangal hai to kyuun ḳhatra nahin hai
kahan jaati hain barish ki dua.en
shajar par ek bhi patta nahin hai
daraḳhton par sabhi phal hain salamat
parinda kyuun koi Thahra nahin hai
khula hai phuul har gamle men lekin
koi chehra tar-o-taza nahin hai
dhuan hi hai faqat gaaḌi ke pichhe
yahan kya ek bhi bachcha nahin hai
samajhna hai to divaron se samjho
hamare shahr men kya kya nahin hai
Leave a Reply