• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Bint-E-Lamhat

Bint-E-Lamhat

akhtar-ul-iman

tumhare lahje men jo garmi o halavat hai

use bhala sa koi naam do vafa ki jagah

ghanim-e-nur ka hamla kaho andheron par

dayar-e-dard men aamad kaho masiha ki

ravan-davan hue khushbu ke qafile har-su

khala-e-subh men gunji sahar ki shahnai

ye ek kohra saa, ye dhund si jo chhai hai

is iltihab men, is surmagin ujale men

siva tumhare mujhe kuchh nazar nahin aata

hayat naam hai yadon kaa, talkh aur shirin

bhala kisi ne kabhi rang o bu ko pakda hai

shafaq ko qaid men rakkha saba ko band kiya

har ek lamha gurezan hai, jaise dushman hai

na tum milogi na main, ham bhi donon lamhe hain

vo lamhe ja ke jo vapas kabhi nahin aate!

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jahez Kam Tha Bahu Aag Mein Utari Hai

parveen-shakir

Farogh Farrukh-Zad Ke Liye Ek Nazm

Sukun-E-Dil Ho Magar Tum Bacha Sake Na Mujhe

Shar Aaj Zafar-Yab Hai Malum Nahin Kyon

Ab Aise Chaak Par Kuza-Gari Hoti Nahin Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet