• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Ke Sang-E-Dar Se Apni Mayyat Le Ke uTThenge

Kisi Ke Sang-E-Dar Se Apni Mayyat Le Ke uTThenge

kisi ke sang-e-dar se apni mayyat le ke uTThenge

yahi patthar pa.e taviz-e-turbat le ke uTThenge

ga.e vo din ki ham girte the aur himmat uThati thi

vo din aaya ki ab ham apni himmat le ke uTThenge

agar dil hai to tera dard-e-ulfat saath ja.ega

kaleja hai to tera dagh-e-hasrat le ke uTThenge

ye paida hote hi rona sarihan bad-shuguni hai

musibat men rahenge aur musibat le ke uTThenge

ḳhat-e-qismat miTate ho magar itna samajh lena

ye harf-e-arzu hathon ki rangat le ke uTThenge

mujhe apni gali men dekh kar vo naaz se bole

mohabbat se dabe jaate hain hasrat le ke uTThenge

tire kuche men kyuun baiThe faqat is vaste baiThe

ki jab uTThenge is duniya se jannat le ke uTThenge

tira raz-e-mohabbat le ke aa.e le ke ja.enge

amanat le ke baiThe hain amanat le ke uTThenge

hamen is naam japne ka maza us roz aa.ega

tumhara naam jis din zer-e-turbat le ke uTThenge

dam-e-aḳhir ham anchal un ka ‘muztar’ kis tarah chhoḌen

yahi to hai kafan jis ki badaulat le ke uTThenge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ain-tabish

Guzarte Waqt Ko Buniyaad Karne Wala Hun

Phul Se Dhalka Hua Os Ka Qatra Hun Main

ahmad-ali-barqi-azmi

Tum Aa Rahe Ho Ki Ja Rahe Ho

Safar Se lauT Jaana Chahta Hai

Wahi Kaun-O-Makan Apna Mata-E-Zindagi Apni

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet