kisi gul men nahin paane ki tu bu-e-vafa hargiz
abas apna dil ai bulbul chaman men mat laga hargiz
tabibon se ilaj-e-ishq hota hai nipat mushkil
hamare dard ki un se nahin hone ki dava hargiz
taja ghar ek aur saare bayaban ka hua varis
koi majnun sa ayyara na hoga dusra hargiz
bahar aai hai kyunkar andaliben baagh men javen
qafas ke dar ke taiin karta nahin sayyad va hargiz
na the ashiq kisi be-dad par ham jab talak ‘taban’
hamare dil ke taiin kuchh dard-o-gham tab tak na tha hargiz
Leave a Reply