kisi guman pe tavaqqoa ziyada rakhte hain
phir aaj ku-e-butan ka irada rakhte hain
bahar aaegi jab aaegi ye shart nahin
ki tishna-kam rahen garche baada rakhte hain
tiri nazar ka gila kya jo hai gila dil ka
to ham se hai ki tamanna ziyada rakhte hain
nahin sharab se rangin to gharq-e-khun hain ki ham
khayal-e-vaz-e-qamis-o-libada rakhte hain
gham-e-jahan ho gham-e-yar ho ki tir-e-sitam
jo aae aae ki ham dil kushada rakhte hain
javab-e-vaiz-chabuk-zaban men ‘faiz’ hamen
yahi bahut hain jo do harf-e-sada rakhte hain
Leave a Reply