jaan ka dushman hai magar jaan se pyara bhi hai
aisa is ahd men ik shaḳhs hamara bhi hai
jagti ankhon ne dekhe hain tire ḳhvab ai jaan
aur nindon men tira naam pukara bhi hai
vo bura vaqt ki jab saath na ho saaya bhi
ham ne hans hans ke ka.i baar guzara bhi hai
jis ne manjdhar men chhoḌa use ma.alum nahin
Dubne vaale ko tinke ka sahara bhi hai
mat luTa dena zamane pe hi saari ḳhairat
muntazir haath men kashkol hamara bhi hai
naam sun kar mira us lab pe tabassum hai ‘ziya’
aur palkon pe utar aaya sitara bhi hai
Leave a Reply