• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Baham Buland-O-Past Hain Kaif-E-Sharab Ke

Baham Buland-O-Past Hain Kaif-E-Sharab Ke

poet

baham buland-o-past hain kaif-e-sharab ke

ankhon men hain tulu-o-ghurub aftab ke

piite hain surkh-o-zard pyale sharab ke

kya kya hain auj-o-past men rang aftab ke

barson se dhundhta hai mazamin sharab ke

gardun ulat raha hai varaq aftab ke

saaqi undel jaam subuhi subu ki khair

mushtaq kab se hain lab-e-shab aftab ke

utthe vo dud-e-dil ki falak ho gaya siyah

gul ho gae charagh mah-o-aftab ke

likkhun jo un ke chehra-e-raushan ka vasf main

paida karun zaban-o-dahan aftab ke

dho de sharab se mire angur zakhm ko

ta-jalve bakhshen zakhm-e-kuhan aftab ke

kho dega dud-e-ah falak ki barahnagi

dalegi shaam munh pe naqab aftab ke

khali kahan falak sitam-e-rozgar se

rakhta hai dil pe daagh mah-o-aftab ke

jaane to do falak pe mire nala-e-junun

purze udaenge varaq-e-aftab ke

ai charkh-e-pir dekh liin athkheliyan tiri

yaad aa gae hamen bhi zamane shabab ke

paai hai main ne zakhm se talim-e-khamushi

goya lab-e-sukut dahan hain javab ke

marhum-e-arzu hain sada-e-shikast men

rah rah gae hain bhar ke phaphole habab ke

kis eatibar men nafas-e-chand ai ‘nasim’

shab har ke vaste ye tamashe hain khvab ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Daur-E-KHirad Hai Daur-E-Junun Is Daur Mein Jina Mushkil Hai

poet

Hue The Bhag Ke Parde Mein Tum Nihan Kyunkar

Samundar Aankh Se Ojhal Zara Nahin Hota

Hum uTh Jaenge Mahfil Se to Un Ko Justuju Hogi

akhtar-hoshiyarpuri

Jo Mujhko dekh Ke Kal Raat Ro Pada Tha Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet